My photo
Business Graduate by conventional definition, Social Sector enthusiast by accident. Trying to be Human at the moment.

Sunday, July 13, 2014

Aao.

Aao khamosh kerein.

Aao khamosh kerein her us soch ko.
us andr kay insaan ko.
un nafsani baton ko.
un khwabun ko. un sochun ko.
un khwabun mein palnay walay rangun k mirage ko.
un batun ko un cheezun ko.
un duniyawi hasratun ko.
un bemaani bebaat si ana k dard ko
Aao paar kerein androni paharun ko.
un jungalun ko..un sehra ko.
jo andr he andr paltay hain.
jo khamoshi k alam mein Khudi say Jung kertay hain.
jo aaj bhi hain aur kal bhi thay.
jo barhtay qadm ko, us azm ko, us muskurahat ko dard mein mubtila kertay hain.
jo apnay gham ko Khudi k saamnay laakr, Khudi ko behkaatay hain.

Aao khamosh kerein us duniya ko.
us waqt ko jo aaj is pal is waqt nahi.
us ehsaas ko jo ghuzra kal aur anay wala kal hai.
us darr ko jo masoomiyet k libaday main Khudi ko iztiraabi khaifiyet mein dalta hai.

Aao khamosh kerein khud ko. Un awazun ko. Un baatun ko. Un iradun ko. Un khwabun ko. Un sochon ko. Jo Khudi ko subkuch honay ka ghalat ehsaas deyti hain.

Tum ho bhi aur kuch bhi nahi.
aao bus khamoshi say jung kerein.
Apni khamoshi mein apni androni jung mein, subkuch bhool jayen.
Jo ho, woh sub kuch is maidan mein layao.
Aao apni ana ko, apnay dukh ko, apnay dard ko, apni umeedun ko khamosh kerdein.

aaao sirf Kuch bhi nahi bann jayen.
aaao har pal yeh khoshish kerein k hum kuch bhi na rahain.

1 comment: