My photo
Business Graduate by conventional definition, Social Sector enthusiast by accident. Trying to be Human at the moment.

Wednesday, May 21, 2014

Her Cheez.

her cheez dil nahi hoti
her cheez ruswai nahi hoti
her cheez gham nahi hota
her cheez khushi nahi hoti
her cheez gham ka mayaar nahi hota
her cheez dukh ki sachai nahi hoti
her cheez jhoot nahi
her cheez dhoka nahi
her cheez bolta such nahi
her cheez dil lagi nahi
her cheez zahn nahi
her cheez dimagh nahi
her cheez soch nahi
her cheez soch ki woh hadh nahi
her cheez her insaan nahi
her cheez ek insaan nahi
her cheez yahan nahi
her cheez wahan nahi
her cheez is jagah yahi abhi nahi
her cheez mazi nahi
her cheez anay wala kal nahi
her cheez maqadar nahi
her cheez mau bolta saboot nahi
her cheez deen duniya nahi
her cheez is mein basa her shaks nahi
her cheez jang nahi jangu qaidi nahi
her cheez muhabbat nahi
her cheez pyaar nahi
her cheez sukoon nahi
her cheez aurat ki kashish nahi
her cheez yeh nahi
her cheez woh nahi
her cheez woh soch bhi nahi jismein her cheez ki talash nahi

her cheez pana nahi her cheez khoona nahi
her cheez mil ker khojana nahi
her cheez maut nahi her cheez zindagi nahi her cheez arzo nahi. her cheez arzo mein chupa woh anso nahi

na dukh. na dard. na khushi. na hansi.
na soch. na dil. na dimagh. na ehsas.
na kal. na aaj. na aaj kay baad kal.

her cheez is such tak pohachna hai keh kuch bhi her cheez nahi.

No comments:

Post a Comment